اردو हिंदी
Kahan kahan se sunaun tumhein fasana-e-shab | Shaahi Shayari
kahan kahan se sunaun tumhein fasana-e-shab

Ghazal

Kahan kahan se sunaun tumhein fasana-e-shab

Arshad Jamal u0027Sarimu0027

;

kahan kahan se sunaun tumhein fasana-e-shab
tawil guzra hai mujh par bahut zamana-e-shab

mahak raha hai hamin se harim-e-gulshan-e-roz
hamin se nur-faza hai nigar-KHana-e-shab

hua hai hukm ye min-jaanib-e-shah-e-zulmat
hudud-e-shahr-e-siyah chhoD de diwan-e-shab

KHamosh hote hain din ke tamam-tar sikke
khanakta rahta hai kashkol-e-dil mein aana-e-shab

har ek shaKH pe viraniyan musallat hain
badan-daraKHt bhi goya hai aashiyan-e-shab

tamam yaaden to aa baiThti hain sham-Dhale
udas rahta hai phir kis liye sirhana-e-shab

umid KHak rakhi jae ab ujalon ki
charagh aundhe paDe hain ba-astana-e-shab

halal rizq mayassar ho kya unhen 'sarim'
ki jin parindon ko chugna hai sirf dana-e-shab