kahan kahan se nigah us ko DhunD lae hai
kisi ke sath sahi wo nazar to aae hai
falak se jaise sitara zamin par utre
meri gali mein wo mahshar KHiram aae hai
faza-e-fikr mein wo chand ban ke chamka hai
shab-e-firaq ki rangat badalti jae hai
KHuda gawah KHuda to nahin wo shaKHs magar
usi ka nam mukarrar labon pe aae hai
kahan kahan na jalae nawazishon ke charagh
mujhi ko ghor andhere mein chhoD jae hai
wo baat zehn mein jis se kuchh intishaar sa hai
wo baat sher ke sanche mein Dhalti jae hai
Ghazal
Kahan kahan se nigah usko DhunD lae hai
Satya Nand Java