اردو हिंदी
Kahan ka nang raha aur aur kahan raha namus | Shaahi Shayari
kahan ka nang raha aur aur kahan raha namus

Ghazal

Kahan ka nang raha aur aur kahan raha namus

Qasim Ali Khan Afridi

;

kahan ka nang raha aur aur kahan raha namus
ulajh gai jo mohabbat mein duKHtar-e-taimus

maza jo wasl ka chahe to bar-e-hijr uTha
phir intiqam ho aaKHir ke tain kanar-o-bos

majazi ho ki haqiqi sarih ishq ka nam
latif tohfa piyara ajib nam urus

mujhe bhi ishq ka hai maraz kya karun yaro
mualaje se mere aajiz aaya jalinus

dil hi mein 'qasim-ali' sham-e-ishq kar raushan
bacha le baad-e-muKHalif se tan ka kar fanus