kahan jate hain aage shahr-e-jaan se
ye bal khate hue raste yahan se
wahan ab KHwab-gahen ban gai hain
uThe the aab-dida hum jahan se
zamin apni kahani kah rahi hai
alag andesha-e-sud-o-ziyan se
inhin bante-bigaDte daeron mein
wo chehra kho gaya hai darmiyan se
uTha laya hun sare KHwab apne
teri yaadon ke bosida makan se
main apne ghar ki chhat par so raha hun
ki baaten kar raha hun aasman se
wo in aankhon ki mehrabon mein har shab
sitare Tank jata hai kahan se
'rasa' is aabna-e-roz-o-shab mein
damakte hain kanwal fanus-e-jaan se
Ghazal
Kahan jate hain aage shahr-e-jaan se
Rasa Chughtai