kahan jaen chhoD ke hum use koi aur us ke siwa bhi hai
wahi dard-e-dil bhi hai dosto wahi dard-e-dil ki dawa bhi hai
meri kashti lakh bhanwar mein hai na karunga main teri minnaten
ye pata nahin tujhe naKHuda mere sath mera KHuda bhi hai
ye ada bhi us ki ajib hai ki baDha ke hausla-e-nazar
mujhe izn-e-did diya bhi hai mere dekhne pe KHafa bhi hai
meri samt mahfil-e-ghair mein wo ada-e-naz se dekhna
jo KHata-e-ishq ki hai saza to meri wafa ka sila bhi hai
jo hujum-e-gham se hai aankh nam to labon pe nale hain dam-ba-dam
use kis tarah se chhupaen hum kahin raaz-e-ishq chhupa bhi hai
ye baja ki 'aKHtar'-e-muslimi hai zamane bhar se bura magar
use dekhiye jo KHulus se to bhalon mein ek bhala bhi hai
Ghazal
Kahan jaen chhoD ke hum use koi aur uske siwa bhi hai
Akhtar Muslimi