kahan hun main ki mera koi aashna bhi nahin
kisi ka zikr to kya ghar mein aaina bhi nahin
rahe KHamosh to TuTa na rishta-e-ummid
pukarte to KHarabon mein koi tha bhi nahin
teri sada pe to sadiyan bhi lauT aati hain
mujhe bala mein kuchh aisa shikasta-pa bhi nahin
ye aur baat ki naqsh-e-qadam dikhai na den
magar wo arsa-e-dil se abhi gaya bhi nahin
is e'tiraf se ras ghul raha hai kanon mein
wo e'tiraf jo us ne abhi kiya bhi nahin
jis ek chiz se tera firaq aasan hai
wo ek chiz teri yaad ke siwa bhi nahin
mera bharam hain taghaful-shaariyan teri
tu puchh le to mera koi muddaa bhi nahin
musalahat bhi nahin hai sarisht mein apni
magar kisi se tasadum ka hausla bhi nahin
na jaane kab na rahen hum hamein ghanimat jaan
hayat-o-maut mein kuchh aisa fasla bhi nahin
maal-e-kar-e-qanaat hai so abhi se sahi
wagarna tul-e-tamanna ki intiha bhi nahin
Ghazal
Kahan hun main ki mera koi aashna bhi nahin
Khursheed Rizvi