kahan hum aur dushman mil ke donon koi dam baiThe
jo wo baiTha to hum uTThe jo wo uTTha to hum baiThe
rasai baam tak apni na hogi ya kabhi hogi
ye pahron sochte hain kucha-e-jaanan mein hum baiThe
ye kis andaz se kahte hain sun kar dastan meri
jahan puchha kisi ne le ke ye tumar-e-gham baiThe
ye qismat ke farishte hain ye KHubi hai muqaddar ki faqat
KHizar uTh jaen duniya se rahen ai 'nuh' hum baiThe
Ghazal
Kahan hum aur dushman mil ke donon koi dam baiThe
Nooh Narvi