kahan hai tu kahan hai aur main hun
anal-haq ka bayan hai aur main hun
lab-e-jaan-baKHsh-e-jaanan ka hun kushta
hayat-e-jawidan hai aur main hun
visal-e-daimi ka hai tasawwur
bahaar-e-be-KHizan hai aur main hun
nahin har ek ko is maiKHane mein bar
bas ek pir-e-mughan hai aur main hun
maza deta hai tanhai mein rona
ki ek dariya rawan hai aur main hun
uTha do din ko aur shab ko ba-dastur
ye sang-e-astan hai aur main hun
tahammul ki nahin ab tab zinhaar
nabard-e-asman hai aur main hun
gul-e-gulchin kahan fasl-e-KHizan mein
purana aashiyan hai aur main hun
shab-e-hijran mein ho kaun aur dam-saz
faqat ek qissa-KHwan hai aur main hun
wilayat ka safar mushkil hai 'nazim'
yahi hindostan hai aur main hun

Ghazal
Kahan hai tu kahan hai aur main hun
Syed Yusuf Ali Khan Nazim