kahan hai gul-badan mohan piyara
ki jiyun bulbul hai nalan dil hamara
bisat-e-ishq-bazi mein mera dil
mata-e-sabr-o-naqd-o-hosh haara
taghaful tark kar ai shoKH-e-be-bak
talattuf kar nawazish kar mudara
hazare ka nahin hai zauq mujh kun
kiya hun jab sin tujh mukh ka nazara
suna hai jab sin tere husn ka shor
liya zahid ne masjid ka kinara
shab-e-hijrat mein us mahtab-ru ki
har ek aansu hua raushan sitara
'siraj' us shama-ru ne in dinon mein
liya hai sab patangon ka ijara
Ghazal
Kahan hai gul-badan mohan piyara
Siraj Aurangabadi