kahan gai ehsas ki KHushbu fana hue jazbaat kahan
hum bhi wahi hain tum bhi wahi ho lekin ab wo baat kahan
mausam ne angDai li to muskae kuchh phul magar
man mein dhum macha de ab wo rangon ki barsat kahan
mumkin ho to khiDki se hi raushan kar lo ghar-angan
itne chand sitare le kar phir aaegi raat kahan
KHwabon ki taswiron mein ab aao bhar len rang naya
chand samundar kashti hum tum ye jalwe ek sath kahan
ek chehre ka aks sabhi mein DhunD raha hun barson se
lakhon chehre dekhe lekin us chehre si baat kahan
chamak damak mein Dub gae hain pyar wafa ke asli rang
'dew' jahan walon mein ab wo pahle se jazbaat kahan
Ghazal
Kahan gai ehsas ki KHushbu fana hue jazbaat kahan
Devmani pandey