اردو हिंदी
Kahan bashaarat-e-fasl-e-bahaar lai thi | Shaahi Shayari
kahan bashaarat-e-fasl-e-bahaar lai thi

Ghazal

Kahan bashaarat-e-fasl-e-bahaar lai thi

Zeeshan Ilahi

;

kahan bashaarat-e-fasl-e-bahaar lai thi
hawa to bagh ki izzat utar lai thi

gulon pe uDti hui titliyon se yaad aaya
teri talab mujhe dariya ke par lai thi

sada na phir mere be-jaan jism se nikli
hawa to us ko gupha tak pukar lai thi

tumhaare sae se arman sab nikale gae
visal-rut samar-e-intizar lai thi

wo koi KHas chamak DhunDhta raha 'zishan'
hamari aankh safar ka ghubar lai thi