kahan aaya hai diwanon ko tera kuchh qarar ab tak
tere wade pe baiThe kar rahe hain intizar ab tak
KHuda malum kyun lauTi nahin ja kar bahaar ab tak
chaman wale chaman ke waste hain be-qarar ab tak
bura gulchin ko kyun kahiye bure hain KHud chaman wale
bhale hote to kya munh dekhti rahti bahaar ab tak
chaman ki yaad aai dil bhar aaya aankh bhar aai
jahan bola koi gulshan mein baqi hai bahaar ab tak
sabab jo bhi ho surat kah rahi hai raat jage ho
gawahi ke liye baqi hai aankhon mein KHumar ab tak
qayamat aae to un ko bhi aate aate aaega
wo jin ko tere wade par nahin hai e'tibar ab tak
salamat mai-kada thoDi bahut un ko bhi de saqi
takalluf mein jo baiThe rah gae kuchh baada-KHwar ab tak
KHudara dekh le duniya ki phir ye bhi na dekhegi
chaman se jate jate rah gai hai jo bahaar ab tak
qafas mein rahte rahte ek muddat ho gai phir bhi
chaman ke waste rahti hai bulbul be-qarar ab tak
KHabar bhi hai tujhe mai-KHwar to badnam hai saqi
daba kar kitni botal le gae parhez-gar ab tak
are daman chhuDa kar jaane wale kuchh KHabar bhi hai
tere qadmon se hai lipTi hui KHak-e-mazar ab tak
ye kahne wale kahte hain ki tauba kar chuke 'bismil'
magar dekhe gae hain mai-kade mein bar bar ab tak
Ghazal
Kahan aaya hai diwanon ko tera kuchh qarar ab tak
Bismil Azimabadi