kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja
wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja
wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain
dil-e-be-KHabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja
main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein
saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja
kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere baad kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja
kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin KHun-baha use bhul ja
kyun aTa hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
wo jo dard tha tere baKHt mein so wo ho gaya use bhul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
Ghazal
Kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja
Amjad Islam Amjad