kaha ye kis ne ki wade ka e'tibar na tha
wo aur baat thi jis se mujhe qarar na tha
shab-e-visal wo kis naz se ye kahte hain
hamare hijr mein sach-much tujhe qarar na tha
baghaarta hai jo ab shaiKH zohd ki baaten
to kya ye ahd-e-jawani mein baada-KHwar na tha
faqat thi ek KHamoshi mere suKHan ka jawab
nahin nahin tujhe kahna hazar bar na tha
ye mujh ko dekhte hi tu ne kyun churai aankh
nigah-e-lutf ka kya main ummid-war na tha
wahi thin aish ki raaten wahi the lutf ke din
kisi ki yaad kisi ka jab intizar na tha
hazar shukr ki nikla wo sadiqul-iqarar
tumhein 'hafiz' ki baaton ka e'tibar na tha
Ghazal
Kaha ye kis ne ki wade ka etibar na tha
Hafeez Jaunpuri