اردو हिंदी
Kaha ye kis ne ki ab mujhko tum se pyar nahin | Shaahi Shayari
kaha ye kis ne ki ab mujhko tum se pyar nahin

Ghazal

Kaha ye kis ne ki ab mujhko tum se pyar nahin

Kavita Kiran

;

kaha ye kis ne ki ab mujh ko tum se pyar nahin
ye aur baat hai tum par wo iKHtiyar nahin

mere to apne hi aangan mein panw zaKHmi hue
mujhe yahan pe kisi par bhi e'tibar nahin

tamam umr kaTi teri rah takte hue
kuchh aisa haal hai KHud apna intizar nahin

kabhi ke KHatm hui e'tibar ki duniya
kisi ke waste ab koi be-qarar nahin

chaman mein kaisi hawa chal rahi hai ab ke baras
gulon ke chehron pe pahla sa ab nikhaar nahin

suluk-e-dost ne kya aisa kar diya hai 'kiran'
ki umr kaT gai dil ko magar qarar nahin