اردو हिंदी
Kaha jo usne ki kahiye to kuchh gila kya hai | Shaahi Shayari
kaha jo usne ki kahiye to kuchh gila kya hai

Ghazal

Kaha jo usne ki kahiye to kuchh gila kya hai

Javed Lakhnvi

;

kaha jo us ne ki kahiye to kuchh gila kya hai
meri zaban se nikla ki faeda kya hai

udas dekh ke mahfil ko meri kahte hain
yahan bhi koi musibat ka mubtala kya hai

bas aaj tak to bahut KHub hijr mein guzri
ab aage dekhiye taqdir mein likha kya hai

tamam ho gae hum dastan ho gai KHatm
ab aur qissa-e-furqat ki intiha kya hai

gale se aa ke mile wo to aur dil taDpa
baDhe dawa se to phir dard ki dawa kya hai

har ek ashk ke qatre mein KHun ki shirkat ne
hamara zaKHm-e-jigar be-mahal hansa kya hai

jo dekhta hun kabhi aaina main furqat mein
to KHud bhi kahta hun ye aap ko hua kya hai

sitam pe dad ke KHwahan tumhin se hain 'jawed'
wo jaanen kya ki jafa kya hai aur wafa kya hai