kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
teri nazron ne bana Dala hai afsana mujhe
ishq mein ab mil gai hai mujh ko meraj-e-junun
ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe
dars-e-ibrat hai tumhaare waste mera maal
ghuncha o gul ko sunana hai ye afsana mujhe
ek nigah-e-naz ne saqi ki ye kya kar diya
rafta rafta kah uThe sab pir-e-mai-KHana mujhe
tu sarapa nur hai main tera aks-e-KHas hun
kah rahe hain yun tera sab aaina-KHana mujhe
sun rahi thi shauq se duniya jise ai ham-nafas
yaad hai han yaad hai wo mera afsana mujhe
nur se bhar pur ho jati hai bazm-e-arzu
jab kabhi wo dekhte hain be-hijabana mujhe
al-madad ai zohd baDh kar rok le mere qadam
tishnagi phir le chali hai su-e-mai-KHana mujhe
ham-nafas meri to fitrat hi sana-e-husn hai
ishq ke bande kaha karte hain diwana mujhe
mujh ko 'qaisar' mai-kade se nikle ek muddat hui
yaad karte hain abhi tak jam o paimana mujhe
Ghazal
Kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
Qaisar Nizami