اردو हिंदी
Kah gaya tha wo kuchh ishaare se | Shaahi Shayari
kah gaya tha wo kuchh ishaare se

Ghazal

Kah gaya tha wo kuchh ishaare se

Naseem Abbasi

;

kah gaya tha wo kuchh ishaare se
baat samjhaen hanste tare se

us se milte hi aankh bhar aai
lahar ek aa lagi kinare se

galiyan ab wo kyun nahin dete
kya KHata ho gai hamare se

kis ko ja kar bataun main ye baat
din guzarta nahin guzare se

bhul jate ho nam tak mera
kya tawaqqo rakhun tumhaare se