kah gaya kuchh to zer-e-lab koi
jaan deta hai be-sabab koi
jawe qasid udhar to ye kahiyo
rah takta hai roz o shab koi
go ki aankhon mein apni aawe jaan
munh dikhata hai hum ko kab koi
ban gaya hun main surat-e-diwar
samne aa gaya hai jab koi
garche hum sae us pari ke rahe
na mila jhankne ka Dhab koi
had KHush aaya ye sher-e-'mir' mujhe
kar ke laya tha muntaKHab koi
ab KHuda maghfirat kare us ki
'mir' marhum tha ajab koi
ai falak us ko tu ghanimat jaan
'mushafi' sa nahin hai ab koi
Ghazal
Kah gaya kuchh to zer-e-lab koi
Mushafi Ghulam Hamdani

