kah do koi saqi se ki hum marte hain pyase
gar mai nahin de zahr hi ka jam bala se
jo kuchh hai so hai us ke taghaful ki shikayat
qasid se hai takrar na jhagDa hai saba se
dallala ne ummid dilai to hai lekin
dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilase
hai wasl to taqdir ke hath ai shah-e-KHuban
yan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyase
pyase tere sar-gashta hain jo rah-e-talab mein
honTon ko wo karte nahin tar aab-e-baqa se
dar guzre dawa se to bharose pe dua ke
dar guzren dua se bhi dua hai ye KHuda se
ek dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko
taKHfif dawa se ho na taskin dua se
'haali' dil-e-insan mein hai gum daulat-e-kaunain
sharminda hon kyun ghair ke ehsan-o-ata se
jab waqt paDe dijiye dastak dar-e-dil par
jhukiye fuqara se na jhamkiye umra se
Ghazal
Kah do koi saqi se ki hum marte hain pyase
Altaf Hussain Hali