kah Dale ghazlon nazmon mein afsane kya kya
dil mein phir bhi dhaDakta rahta hai jaane kya kya
dagh ko chand aansu ko moti zaKHm ko phul kahen
hum ko bhi andaz sikhae duniya ne kya kya
chand aise chehron wale hain chand itne hi dur
jin ke sapne dekhte hain hum diwane kya kya
sukhe lab phike ruKHsar aur uljhe uljhe baal
shahron mein bhi mil jate hain virane kya kya
Ghazal
Kah Dale ghazlon nazmon mein afsane kya kya
Ahmad Masoom