kaf-e-momin se na darwaza-e-dauran se mila
rishta-e-dard usi dushman-e-iman se mila
is ka rona hai ki paiman-shikani ke ba-wasf
wo sitamgar usi peshani-e-KHandan se mila
talib-e-dast-e-hawas aur kai daman the
hum se milta jo na yusuf ke gareban se mila
koi baqi nahin ab tark-e-talluq ke liye
wo bhi ja kar saf-e-ahbab-e-gurezan se mila
kya kahen is ko jo mahfil mein shanasa bhi na tha
kabhi KHalwat mein dar aaya to dil-o-jaan se mila
main usi koh-sifat KHun ki ek bund hun jo
reg-zar-e-najaf o KHak-e-KHurasan se mila

Ghazal
Kaf-e-momin se na darwaza-e-dauran se mila
Mustafa Zaidi