kaDhaw rakh ke taKHayyul pe aasman tale
yaqin ke tel mein logon ne sab guman tale
aqidaton ka ajab falsafa hai kya kiya jae
ki is mein ungliyan dab jati hain kaman tale
zaban aag sahi dil hamara jal-thal hai
tapish pahunchti nahin lau ki shama-dan tale
fasad baala-nashinon ki shah pe hota hain
wagarna rahte nahin dant kya zaban tale
shuur masnad-e-auham par hai jalwa-fagan
kabhi biThao haqiqat ke saeban tale
Ghazal
KaDhaw rakh ke taKHayyul pe aasman tale
Mannan Bijnori