kabhu na us ruKH-e-raushan pe chhaiyan dekhin
ghaTaen chand pe sau bar chhaiyan dekhin
fatadgi mein jo izzat hai sar-kashi mein kahan
ki naqsh-e-pa ki yahan rah-numaiyan dekhin
balaen lewe hai hathon se us ki zulfon ki
ye dast-e-shana ki hum ne rasaiyan dekhin
chaman mein naKHun-e-har-barg-e-gul se bulbul ki
hazar rang se uqda-kushaiyan dekhin
zaban-e-tesha bahut kaam aai ai farhad
jo ishq ne teri zor-azmaiyan dekhin
nazar mein apni wo phirti hain suraten haihat
falak ne KHak mein kya kya milaiyan dekhin
kisu ne li na KHabar gharq-e-bahr-e-ulfat ki
in aashnaon ki ye aashnaiyan dekhin
hamari us ki kudurat ki wajh kuchh na rahi
ki aaine ne dilon ki safaiyan dekhin
hum apna tujh ko hawa-KHwah jaante the saba
bahaaren tu ne bhi tanha uDaiyan dekhin
bayan kis se karun apni tira-baKHti ka
andheri raaten wo ai dil phir aaiyan dekhin
'nasir' kije wafa kab talak ba-qaul-e-'mir'
jafaen dekh liyan bewafaiyan dekhin
Ghazal
Kabhu na us ruKH-e-raushan pe chhaiyan dekhin
Shah Naseer