kabhu dikha ke kamar aur kabhu dahan mujh ko
bahut ba-tang kiya tu ne ai miyan mujh ko
wo din gae ki uThate the yar nikhat-e-gul
hai be-dimaghi-e-dil in dilon giran mujh ko
main rah-guzar mein paDa hun ba-rang-e-naqsh-e-qadam
main chhoDa kis ke bharose pe karwan mujh ko
main hun to murgh-e-chaman par ghalat-nigahi se
hain kitne roz ki bhula hai aashiyan mujh ko
to itne waste ai baghban na kawish kar
bahut hai saya-e-diwar-e-gulsitan mujh ko
rawa rakhun na ki howe malak bhi pas mere
kiya hai bas-ki mohabbat ne bad-guman mujh ko
meri nazar mein hai 'qaem' ye kaenat tamam
nazar mein go koi lata nahin hai yan mujh ko
Ghazal
Kabhu dikha ke kamar aur kabhu dahan mujhko
Qayem Chandpuri