اردو हिंदी
Kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein | Shaahi Shayari
kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein

Ghazal

Kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein

Meena Naqvi

;

kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
ek intizar ka mausam raha hai aankhon mein

kabhi hai KHushk kabhi nam raha hai aankhon mein
Thahar Thahar ke ye zamzam raha hai aankhon mein

basa hua hai tasawwur mein ek hasin paikar
koi KHayal mujassam raha hai aankhon mein

nazar ke samne aai hain kitni taswiren
usi ka aks magar ram raha hai aankhon mein

wo qurbaton ka tasawwur wo lams ka jadu
sada-bahaar ye mausam raha hai aankhon mein

ulajh ke rah gae nindon ke KHwab palkon par
koi KHayal yun paiham raha hai aankhon mein

lab-e-KHamosh pe 'mina' hai nauha-e-hijran
darun-e-zat ye matam raha hai aankhon mein