اردو हिंदी
Kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun | Shaahi Shayari
kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun

Ghazal

Kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun

Khawar Naqvi

;

kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun
tilism-e-nur ke ek ek nishan mein tairta hun

ba-rang-e-saz kabhi barbaton se phuTta hun
kabhi ba-shakl-e-sada armughan mein tairta hun

kabhi main Dhalta hun kaghaz pe naqsh ki surat
main lafz ban ke kisi ki zaban mein tairta hun

kabhi kabhi to mujhe bhi KHabar nahin hoti
ki kis maqam pe kis kis jahan mein tairta hun

mere safar mein koi ajnabi sa rahta hai
muhit sher ke jab imtihan mein tairta hun