kabhi zaKHmi karun panw kabhi sar phoD kar dekhun
main apna ruKH kisi jangal ki jaanib moD kar dekhun
samadhi hi laga lun ab kahin viran qabron par
ye duniya tark kar dun aur sab kuchh chhoD kar dekhun
mujhe ghere mein le rakkha hai ashiya o mazahir ne
kabhi mauqa mile to is kaDe ko toD kar dekhun
uDa dun sabz patton mein chhupi KHwahish ki sab chiDiyan
kabhi dil ke shajar ko zor se jhinjhoD kar dekhun
adam-e-takmil ke dukh se bacha lun apni sochon ko
jahan se silsila TuTe wahin se joD kar dekhun

Ghazal
Kabhi zaKHmi karun panw kabhi sar phoD kar dekhun
Rafiq Sandelvi