kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
kabhi tu bhi TuT meri tarah kabhi reza reza bikhar ke dekh
sar-e-KHar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu
kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh
isi khel se kabhi paega tu gudaz-e-qalb ki neamaten
kabhi ruTh ja kabhi man ke dekh kabhi jit ja kabhi har ke dekh
ye paDi hain sadiyon se kis liye tere mere beach judaiyan
kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raste mere ghar ke dekh
tujhe aaine mein na mil sakega teri adaon ka bankpan
agar apna husn hai dekhna to meri ghazal mein utar ke dekh
wahi mera dard rawan-dawan wahi tera husn jawan jawan
kabhi 'mir'-o-'dard' ke bait paDh kabhi sher 'dagh'-o-'jigar' ke dekh
Ghazal
Kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
Akbar Ali Khan Arshi Zadah