اردو हिंदी
Kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui | Shaahi Shayari
kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui

Ghazal

Kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui

Faragh Rohvi

;

kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui
tere huzur rasai kahan kahan se hui

falak na mah-e-munawwar na kahkashan se hui
khuli jab aankh mulaqat KHak-dan se hui

na falsafi na mufakkir na nukta-dan se hui
ada jo baat hamesha teri zaban se hui

khuli na mujh pe bhi diwangi meri barson
mere junun ki shohrat tere bayan se hui

jo tere nam se mansub mera nam hua
to shahr bhar ko adawat bhi meri jaan se hui

suna ke sab ko akela hi ro raha tha main
kisi ki aankh na tar meri dastan se hui

jinhen tha Dubna un ko bhi de diya rasta
kabhi kabhi ye KHata bahr-e-be-karan se hui

'faragh' hath se kya daman-e-KHirad chhuTa
ki sar pe sang ki barish jahan-tahan se hui