kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai
ki sara marhala tai mujh se barmala hua hai
nashisten pur hain charagh-o-ayagh raushan hain
bas ek mere na hone se aaj kya hua hai
uTha ke rakh do kitab-e-firaq ko dil mein
ki ye fasana azal se mera suna hua hai
kabhi na KHali mila bu-e-ham-nafas se dimagh
tamam bagh mein jaise koi chhupa hua hai
meri giraft mein aata nahin hai wo pal-bhar
meri nazar se mera dil abhi bacha hua hai
usi ke izn-o-raza se hai sab nigah-dari
ki dam-o-dana sabhi kuchh yahan paDa hua hai
main KHwab mein bhi wo daman pakaD nahin sakta
ye hath aur kisi hath mein diya hua hai
yahi bahut hai agar ek ham-suKHan mil jae
main sun raha hun mera dil bhi to dukha hua hai
miyan-e-wada koi uzr ab ke mat lana
ki rahen sahal hain aur zaKHm bhi khula hua hai
wo be-KHabar hai meri jast-o-KHez se shayad
ye kaun hai jo muqabil mere khaDa hua hai
Ghazal
Kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai
Abul Hasanat Haqqi