kabhi wo hath na aaya hawaon jaisa hai
wo ek shaKHs jo sach-much KHudaon jaisa hai
hamari sham-e-tamanna bhi jal ke KHak hui
hamare shoalon ka aalam chitaon jaisa hai
wo bas gaya hai jo aa kar hamari sanson mein
jabhi to lahja hamara duaon jaisa hai
tumhaare baad ujale bhi ho gae ruKHsat
hamare shahr ka manzar bhi ganw jaisa hai
wo ek shaKHs jo hum se hai ajnabi ab tak
KHulus us ka magar aashnaon jaisa hai
hamare gham mein wo zulfen bikhar gain 'nasir'
jabhi to aaj ka mausam bhi chhanw jaisa hai
Ghazal
Kabhi wo hath na aaya hawaon jaisa hai
Hakeem Nasir