اردو हिंदी
Kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain | Shaahi Shayari
kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain

Ghazal

Kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain

Mahshar Badayuni

;

kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain
kabhi KHayal ka rasta bhi chhoD jate hain

na jao ghar ke shab-afroz rauzanon pe ki log
diya makan mein jalta bhi chhoD jate hain

kuchh e'tibar nahin ham-rahan-e-sahra ka
ye dur shahr se tanha bhi chhoD jate hain

jo bul-hawas hain phir aate hain tere kuche mein
jo be-gharaz hain wo duniya bhi chhoD jate hain

palTte bhi nahin sarmastiyon ke sail aur phir
nishaniyan lab-e-dariya bhi chhoD jate hain

ab is se peshrawan-e-chaman ko kya matlab
chaman-nashinon ko jaisa bhi chhoD jate hain

baDha bhi lete hain rahgir un ki KHak se pyar
phir apni KHak ko ruswa bhi chhoD jate hain