اردو हिंदी
Kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin | Shaahi Shayari
kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin

Ghazal

Kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin

Ahmad Hamesh

;

kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi hum ne kuchh to liya nahin
hamein zindagi se ho bahs kya koi waqia to hua nahin

magar aisi koi KHalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi
ki jo rog hum ne laga liya kisi aur ko to laga nahin

zara dekhna ki wo kaun hai pas-e-ramz-e-wahshat-e-ashiqi
bhala kis ne hum ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin

jise pas aana tha aa gaya aur nafas ke tar bhi juD gae
ki talab ki thin yahi manzilen koi fasla to raha nahin

baDi wusaten hain zamin par hamein aur chahiye kya magar
wo jo husn us ki nazar mein hai koi us se baDh kar mila nahin

wo jo mil chuki hain aziyyaten chalo man len ki bahut hua
magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin