kabhi tum ne bhi ye socha ki hum fariyaad kya karte
tumhaara dil dukha kar apne dil ko shad kya karte
meri barbaadiyon par hansne walo ye to samjha do
jo mil jata tumhin ko ye dil-e-barbaad kya karte
nigah-e-yas mein jab nala-e-KHamosh pinhan hai
to phir honThon ko hum sharminda-e-faryaad kya karte
dam-e-aKHir bhi ai dil KHud-farebi hichkiyan kaisi
jo danista bhula baiThe wo tujh ko yaad kya karte
mujhe dekha to har ek ne unhen jallad Thahraya
unhen dekha to bole ye bhala bedad kya karte
zamana jaanta hai hazrat-e-'naKHshab' ki KHud-dari
KHilaf-e-aql hai wo aarzu-e-dad kya karte
Ghazal
Kabhi tumne bhi ye socha ki hum fariyaad kya karte
Nakhshab Jaarchawi