kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho
kabhi tir-e-nigah-e-tund ka barsaw karte ho
kabhi tum sard karte ho dilon ki aag garmi sin
kabhi tum sard-mehri sin jhaTak kar baw karte ho
kabhi tum saf karte ho mere dil ki kudurat kun
kabhi tum be-sabab tewri chaDha kar taw karte ho
kabhi tum mom ho jate ho jab main garm hota hun
kabhi main sard hota hun to tum bhaDkaw karte ho
kabhi la la mujhe dete ho apne hat sin pyala
kabhi tum shisha-e-dil par mere pathraw karte ho
kabhi tum dhul uDate ho meri ghusse sin rukhe ho
kabhi munh par haya ka la araq chhiDkaw karte ho
kabhi KHush ho ke karte ho 'siraj' apne ki jaan-baKHshi
kabhi us ke bujha dene kun kya kya daw karte ho
Ghazal
Kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho
Siraj Aurangabadi