kabhi to yaad ke gul-dan mein sajaun use
kabhi wo samne bhi ho to bhul jaun use
khile jo hain meri shaKH-e-KHayal par kuchh gul
usi ka khel hai ye kis tarah bataun use
wo KHushbuon ki tarah aae aur uD jae
main kaise pairahan-e-zehn mein basaun use
pata to ho ki hai kya karb-e-zaKHm-e-nazzara
na dekhna jise chahe wahi dikhaun use
wo harf-e-soKHta sath-e-zaban tak aae to
main apne lahja-e-raushan se jagmagaun use
usi ke rang ka pahna agar libas to kya
usi ki tarz mein ab sher bhi sunaun use
agar hai ishq to phir aisa ishq ho 'baqar'
wo gungunae mujhe aur main gungunaun use
Ghazal
Kabhi to yaad ke gul-dan mein sajaun use
Baqar Naqvi