kabhi to soch tere samne nahin guzre
wo sab samay jo tere dhyan se nahin guzre
ye aur baat ki hun un ke darmiyan main bhi
ye waqiye kisi taqrib se nahin guzre
un aainon mein jale hain hazar aks-e-adam
dawam-e-dard tere ratjage nahin guzre
supurdagi mein bhi ek ramz-e-KHud-nigah-dari
wo mere dil se mere waste nahin guzre
bikharti lahron ke sath un dinon ke tinke bhi the
jo dil mein bahte hue ruk gae nahin guzre
unhen haqiqat-e-dariya ki kya KHabar 'amjad'
jo apni ruh ki manjdhaar se nahin guzre
Ghazal
Kabhi to soch tere samne nahin guzre
Majeed Amjad