kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote
kisi ki aankh mein rah kar sanwar gae hote
singar-dan mein rahte ho aaine ki tarah
kisi ke hath se gir kar bikhar gae hote
ghazal ne bahte hue phul chun liye warna
ghamon mein Dub kar hum log mar gae hote
ajib raat thi kal tum bhi aa ke lauT gae
jab aa gae the to pal bhar Thahar gae hote
bahut dinon se hai dil apna KHali KHali sa
KHushi nahin to udasi se bhar gae hote
Ghazal
Kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote
Bashir Badr