اردو हिंदी
Kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha | Shaahi Shayari
kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha

Ghazal

Kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha

Nashtar Khaanqahi

;

kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha
kabhi to ehtimam-e-sohbat-e-yaran bhi hona tha

tawaqqo ke mutabiq hai ye tabdili to hairat kya
use mushkil bhi hona tha mujhe aasan bhi hona tha

riya-karon pe kal tak jis ke darwaze muqaffal the
usi jannat mein jashn-e-fitna-pardazan bhi hona tha

kabhi dekha na tha yun hum ne bazar-e-wafa viran
to kya is shahr mein qahat-e-KHaridaran bhi hona tha

abhi tak jo kinare se ba-zahir shant lagta tha
usi dariya ko ab tufan pas-e-tufan bhi hona tha

bil-aKHir hum bhi shab bhar jagte rahne se baz aae
dayar-e-hijr mein kuchh wasl ka saman bhi hona tha

ye taza bab-e-danai yahan aa kar main shashdar hun
jo kal tak the bahut dana unhen nadan bhi hona tha