kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah
mera wajud hai jalte hue makan ki tarah
bhari bahaar ka sina hai zaKHm zaKHm magar
saba ne gai hai lori shafiq man ki tarah
wo kaun tha jo barahna badan chaTanon se
lipaT gaya tha kabhi bahr-e-be-karan ki tarah
sukut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
tera KHulus hai suraj ke saeban ki tarah
main ek KHwab sahi aap ki amanat hun
mujhe sambhaal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah
kabhi to soch ki wo shaKHs kis qadar tha buland
jo bichh gaya tere qadmon mein aasman ki tarah
bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jae ye rut bhi kabhi KHizan ki tarah
Ghazal
Kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah
Prem Warbartani

