اردو हिंदी
Kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue | Shaahi Shayari
kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue

Ghazal

Kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue

Akhilesh Tiwari

;

kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue
KHud apni zat ke dariya ko par karte hue

yahin se rah koi aasman ko jati thi
KHayal aaya hamein siDhiyan utarte hue

agar wo KHwab hai jo aankh mein salamat hai
to phir ye kya hai jise dekhta hun marte hue

simaT ke KHud mein mera KHair kya bana hota
hawa ke dosh pe tha dur tak bikharte hue

nae safar ki kahin ibtida na ho manzil
ye panw puchh rahe hain thakan se Darte hue

abhi to dur talak aasman suna tha
kahan se aa gae panchhi uDan bharte hue