kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de
ki dhup sar se haTe aur ghaTa dikhai de
main iqtibas-e-aziyyat hun lauh-e-duniya par
so mujh mein gham ke siwa aur kya dikhai
main chahta hun ki mere liye mere maula
lab-e-adu pe bhi harf-e-dua dikhai de
charagh ban ke sada is liye jale hum log
hamari zid thi ki hum ko hawa dikhai de
kabhi to sehn-e-gulistan se ho KHizan ruKHsat
kabhi to peD pe patta hara dikhai de
hisar-e-zat se main is liye nikalta nahin
ki chashm-e-tar ko meri kaun kya dikhai de
zamane baad laga KHud ko dekh kar aisa
ki jaise KHwab mein ek gum-shuda dikhai de
Ghazal
Kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de
inaam azmi