اردو हिंदी
Kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main | Shaahi Shayari
kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main

Ghazal

Kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main

Mohammad Alvi

;

kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main
nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main

bikher de mujhe chaaron taraf KHalaon mein
kuchh is tarah se alag kar ki juD na paun main

ye jo akele mein parchhaiyan si banti hain
bikhar hi jaengi lekin kise dikhaun main

mera makan agar bich mein na aae to
in unche unche makanon ko phand jaun main

gawahi deta wahi meri be-gunahi ki
wo mar gaya to use ab kahan se laun main

ye zindagi to kahin KHatm hi nahin hoti
ab aur kitne dinon ye azab uThaun main

ghazal kahi hai koi bhang to nahin pi hai
mushaere mein tarannum se kyun sunaun main

are wo aap ke diwan kya hue 'alwi'
bike na hon to kabaDi ko sath laun main