اردو हिंदी
Kabhi to aao hamare bhi jaan koThe par | Shaahi Shayari
kabhi to aao hamare bhi jaan koThe par

Ghazal

Kabhi to aao hamare bhi jaan koThe par

Nazeer Akbarabadi

;

kabhi to aao hamare bhi jaan koThe par
liya hai hum ne akela makan koThe par

khaDe jo hote ho tum aan aan koThe par
karoge husn ki kya tum dukan koThe par

tumhein jo sham ko dekha tha baam par main ne
tamam raat raha mera dhyan koThe par

yaqin hai balki meri jaan jab ki niklegi
to aa rahegi tumhaare hi jaan koThe par

mujhe ye Dar hai kisi ki nazar na lag jawe
phiro na tum khule baalon se jaan koThe par

bashar to kya hai farishte ka ji nikal jawe
tumhaare husn ki dekh aan-ban koThe par

jhamak dikha ke hamein aur bhi phansana hai
jabhi to chaDhte ho tum jaan jaan koThe par

tumhein to kya hai wa-lekin meri KHarabi ho
kisi ka aan paDe ab jo dhyan koThe par

go chune-kari mein hoti hai surKHi to aisi
kisi ke KHun ka ye hai nishan koThe par

ye aarzu hai kisi din to apne dil ka dard
karen hum aan ke tum se bayan koThe par

laDao ghair se aankhen kaho ho hum se aah
ki tha hamein to tumhaara hi hai dhyan koThe par

KHuda ke waste itna to jhuT mat bolo
kahin na TuT paDe aasman koThe par

kamand zulf ki laTka ke us sanam ne 'nazir'
chaDha liya mujhe apne nidan koThe par