اردو हिंदी
Kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar | Shaahi Shayari
kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar

Ghazal

Kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar

Kishwar Naheed

;

kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar
zamin-e-KHushk ko sairab kar nami ban kar

racha hua hai teri kam-nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mere dil mein sarKHushi ban kar

kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko
kabhi guzar inhi rahon se ajnabi ban kar

KHusha ki aur mila gham ka taziyana hamein
KHusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar

tumhein aziz nahin hai to ho aziz kise
na mil sakega koi wajh-e-zindagi ban kar

palaT ke dekh na us ko wo KHak kar dega
tere ghurur ko zahrab ki ani ban kar

hui na us se wafa tum se kya hua 'nahid'
abhi talak jiye jati ho baoli ban kar