kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya
kisi shah-zadi ke ishq ne mera dil sitaron se bhar diya
ye jo raushni hai kalam mein ki baras rahi hai tamam mein
mujhe sabr ne ye samar diya mujhe zabt ne ye hunar diya
zamin chhoD kar nahin jaunga naya shahr ek basaunga!
mere baKHt ne mere ahd ne mujhe iKHtiyar agar diya
kisi zaKHm-e-taza ki chah mein kahin bhul baiThun na rah mein
kisi naujawan ki nigah ne jo payam waqt-e-sahar diya
mere sath bud-o-nabud mein jo dhaDak raha hai wajud mein
isi dil ne ek jahan ka mujhe ru-shanas to kar diya
Ghazal
Kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya
Sarvat Husain