اردو हिंदी
Kabhi taqsir jis ne ki hi nahin | Shaahi Shayari
kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

Ghazal

Kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

Ismail Merathi

;

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin
hum se puchho to aadmi hi nahin

mar chuke jite-ji KHusha qismat
is se achchhi to zindagi hi nahin

dosti aur kisi gharaz ke liye
wo tijarat hai dosti hi nahin

ya wafa hi na thi zamane mein
ya magar doston ne ki hi nahin

kuchh meri baat kimiya to na thi
aisi bigDi ki phir bani hi nahin

jis KHushi ko na ho qayam-o-dawam
gham se bad-tar hai wo KHushi hi nahin

bandagi ka shuur hai jab tak
banda-parwar wo bandagi hi nahin

ek do ghunT jam-e-wahdat ke
jo na pi le wo muttaqi hi nahin

ki hai zahid ne aap duniya tark
ya muqaddar mein us ke thi hi nahin