kabhi tanhai ka ehsas nahin rahta hai
dur rah ke bhi wo is dil ke qarin rahta hai
meri palkon pe laga dena nazar ka Tika
meri aankhon mein koi parda-nashin rahta hai
waqt miTTi mein mila deta hai shahon ko bhi
hashr tak kaun bhala taKHt-nashin rahta hai
teri nas nas mein lahu ban ke rawan rahta hun
rasta jaise koi zer-e-zamin rahta hai
wo kahin bhi rahe 'faruq' duaen dega
us ki chahat pe mujhe kitna yaqin rahta hai

Ghazal
Kabhi tanhai ka ehsas nahin rahta hai
Farooq rahman