kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun
main dil ki baat jazbon ki hari konpal se likhta hun
main tera nam jab likhta hun apne dil ki taKHti par
gulab-o-mushk se zamzam se ganga-jal se likhta hun
bujha kar zahr se rakkhe hain yaron ne qalam apne
magar main to wahi kewDe se aur sandal se likhta hun
KHushi ki dastan banjar zaminon ki hatheli par
gulabi nur barsate hue baadal se likhta hun
'salim' aati hai jab sachchai likhne ki meri bari
fasil-e-shahr par jalti hui mashal se likhta hun

Ghazal
Kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun
Sardar Saleem